Kuch Ishq Badal Gaye
Wo ghar ke bahar pullion par baithhe
Har mohalle ke buzurgon ko aadaab karna
Wo har rahgeer se apne dil ki baatien kehna
Wo chhupkar paan ki chhoti dukkaan par
Apne mohabbat ka deedaar karna
Wo ek bacche ke school ke function par
Poore mohalle ka jama hona
Ek ghar jisme TV hota, us mohalle ki kismet thhi
Kisi ki lottery lagi, to maano meri hasrat poori hui
Wo pani bhari sardakon ko nadi samajhna
Aur khush hokar akhbaaron ki kashtiyon ko kinare pohchaana
Wo phir perdon par jhhulna ho ya unpar chardhna ho
Wo pardosi ka ghar tameer hona ho
Aur bikhri hui ret se mehnat se apna ghar banana ho
Wo chhoti dukaano se kuch khareedna
Aur fursat ke lamhon mein jebon se sharartein nikaalna
Wo ek daant par seham jaana magar honton se hansi na rokne dena
Patthar, perd, paudhe, ret, lakdi, kaanch ke gulle
Yeh thhey khilone lutf dene ke liye
Wo lakdi ke seedhi par sambhalkar chardhna
Aur phir oonchaiyyon ka us se andaza lagana
Phir maano pohonch gaye thhey aasman mein
Aur jhat se neeche utar gaye baadalon ki sawaari mein
Kuch ishq na badlein gey socha nahin thha janab
Aaj muddat ke baad dekha bacchon ko kahin perdon par sawaar
Na kashti, na pani, na sharartein na bacchpana raha zinda
Ab chaar diwaarein hain, mobile hai aur ishq hai zindagi ke is hisse se
Na jaante hain aaj bacche khuli hawa,
Na ruthna na manana doston se
Waqt jaise milta hai qiston mein
Jisme poori karna hai khwaishein jo zaroori qaraar ki duniya ne
Na khushiyon ka lehaaz hai aur na takleef ka koi saccha ilm
Jab dil se na jiye to kya samjhe jeene ka rang