Wo yun hua hai sahab

Silence Speaksđź’•
3 min readMar 17, 2021

--

Wo yun hua hai sahab

Pooch baithha thha koi

Kya zaat hai, aapke shehar ki

Hum to khush hue bahot

Jo hai mauzu hamara shehar

To suniyye janab

Hai baat kuch aesi

Burqon ko dekha na jaata inkaar se

Aur ghanton ko na di jaati naagawaari

Fasl kuch aesi hai is she shehar ki

Jo kholti hai darwaze har iftaar mein

Bina dekhe kaun hindu ya musalmaan hai

Jo galiyyon mein rangrez hai na

Wo rangta zuroor hai duppatte betiyon ke

Wo sochta nahin hai

Odhegin wo bhajan ya namaz mein

Chahe roza ho ya vrat rakhe koi

Dost bhi saath dete hain sirf mohabbat ke liye

Na aazanon se humein hai shikwa na yatraon se humein koi bair

Yaqeen itna pukhta hai janab

Bacchiyyon ko pardosion ke ghar parr chhord jate hain maa baap

Aur wo pardosi rakhtey hain yun khayaal jaise fard ussi ghar ka hai koi

Imtehaanon mein hum duaein lete hain kasrat se

Dadiyaan naaniyaan sar par haath rakhti hain

Kahin se dahi shakkar ya to taweez aata hai koi

Masjidon mein dua hoti beemaar ke liye

Chahe arzi aayi ho Hindu ghar se hee kyun na

Jab aaye hamare shahar mein koi naya

Faqr se dikhate hain, kya karein bayaan

Birla mandir aur Tajul Masajid hum miyan

Siyaasat khelnewalon ne liya rukh yun

Bhopal ko Bhojpal bana to loon

Bas phir kya thha na poochiyye aalam janab

Raaston mein umdra logon ka laakhon ka selaab

Gaya shehar ka naam tabdeel hona band

Phir is baat par khushi zahir to ki

Magar is dafa phir un patiyyon par chai peekar

Raat raat jaagkar bataya gaya

Kis ne kisse kehkar zor daalwaya gaya

Is shehar ki baat hee hai hatkar

Koi aetraaz kare to dekhe

Khade ho jaein hum kisi ke liye bhi tannkar

Har jumme ki namaz ke din

Nikala saaf kapdra wo chowk mein lala ne

Dekar us chaccha ko

Kaha kijiyye is par sajda

Ke ho jaey meri koi dua poori

Ek us mandir mein kapde jo pehne

Wo bhagwaan ki moorti hai na

Wo seeti hain ek bibi darmeyaan zohar aur asar ke

Jab aazaan ki aawaaz sune koi

Dua dheere se nikalti hai

Mandir se nikalte waqt ruk gaye wo sab

Ehteraam mein suniyye, dekha janaza jab

Ye mere shahar ki baat hai janab

Naaz hai bahot us par

Aansoon, hansi, dard madad

Issey se hee rishta rehta hai

Kab kiske chehre se ye zahir hota hai

Eidi dete waqt na dekhe barde buzoorg

Kaun hindu hai ya musalmaan

Bacche hain sabhi unki nazar main

Wo Diwali ki raaton mein jab jashn manta hai

Diyon mein tel daalti wo aapa hain

Eid ki sewaiyyon mein dalta jo maawa hai

Ammi khayal karti hain, khareedna us hee dukaan kaka ki

Shauqh hain wo sab ek hee jahe patang udani ho

Ya chahe chitthi chhupkar dena us dilruba ko

Ya paheeyon ki raftaar se raftaar milani ho

Ya phir chai ke dhelon par wo raaz ki baat karna ho

Janab taalabon ko raaz hamare maloom hain

Jo humne apne raazdaar ko batlaye thhey

Humein yaqeen hai chahe wo mazaar ho ya Raja Bhoj ka mujasma

Baat pohaunch gayi hai kaafi logon tak

Magar yaqeen hai bahot, na bigaad payega koi kuch

Raaz rakhey nahin yahan dafan kiye jaate hain

Kyunki aanch aane se pehle boojha diye jaate hain

Khoon dene ki line lag gayi janab

Koi lahoo luhaan sadak par dikh gaya koi

Allah nazar se bacchaye mere shehar ko

Is siyaasat ki garam lapton se bachhaye

Mere pyaare Bhopaliyon ko sada

Yunhi Aman ki barsaat ho

Hathon mein hamesha haath hon

Dekhein hum sab ek hee nazar se

Ki yeh hai janab hamare shaher je

Na koi pareshaani ho na aaye aafat

Rahein khushhal har Bhopali

Rahey rishta duaon ka

Kandhe par haath hamesha rahe

Chahe wo namaz ya Gita pardhe

--

--

Silence Speaksđź’•
Silence Speaksđź’•

Written by Silence Speaksđź’•

Not chasing popularity, but delving into the depths of the human mind. | Stained Glass & Mosaics | Ms. Introvert | Writer | A dainty entrepreneur |

No responses yet