Zair-zabar ke qaide-qanoon se parey

Silence Speaks💕
1 min readMar 17, 2021

--

Zair-zabar ke qaide-qanoon se parey

Logon ki uff aur taanon se parey

Is ehsas ko khabar na hai

Haadon mein rehna kya hai

Jayaz na jayaz ke qanoon kya hain

Un aankhon se bacchna kya hai

Muhabbat mein shikast kya hai

Jeet aur haar ke darmayaan kya hai

Wo hai pasand to bas aur kuch khabar na hai

Justuju sirf uski hai zamaane mein rakha kya hai

Diwaarein uttayi gayi hongi kitni bhi pehle

Humein un diwaaron mein giraftaar nahin, unhe giraana aata hai

Banna na chaha kabhi baaghi humne ek dafa bhi

Magar peeche pardte kai banaane mujhe har dafa

Na khud khush hai apne iraadon se

Pesh aatein hain mujhse pehredaaronki tarah

Afsos to hai yeh mujhko

Wo bhaage nahin apni koshishon ki taraf

Jo koshish hai meri jaari musalsal

Laga rahe hai besabab girhand un par

Iltija sirf itni hai janab

Mere muaamle mein rakhein zara kam hee tawajjoh

Kyunki kuch aapke muaamle sisak rahey hai aapki tawajjoh ke liye

--

--

Silence Speaks💕
Silence Speaks💕

Written by Silence Speaks💕

Not chasing popularity, but delving into the depths of the human mind. | Stained Glass & Mosaics | Ms. Introvert | Writer | A dainty entrepreneur |

No responses yet