Zinda Hoon Sirf Yaadon Ke Sahaare

Silence Speaks💕
2 min readMar 17, 2021

--

Aapka zikr na ho, aesa na hota hai kabhi

Aadat ye aesi hai, qasam se, na jaey kabhi

Jab aati hai aapki yaad, mehekti hai jaise oodh kaheen

Fizaon ko jo mehakaye, khushbu aap hain wohi,

Ahsaas kuch logon ko hamari mohabbat ka hai

Aur doori ka, uska sabar, ilm khoob hai sabhi ko ji

Kuch aur hain jinhe fikr na dilchaspi hai koi

Hum kis daur se hain guzarte har din

Kya zikr karein hum unka ji

Jo sun to lein, magar kisi ko hargiz na batayein ji

Hain kya aese log is duniya main ji?

Wo gesu aapke, mere chehre par aaraam karte hain

Wo thhandi hawa se udhkar dekhte aaj bhi hain

Wo paani ki boondon ki gehri sazish hee to thhi

Jo jhat se humein ek chhatri ke niche layee jo thhi

Har us hansi ki garmi, rehti hai aabaad un jaardon mein

Kya kya karta rahoon main, bas, aap yeh bata dein

Aap rehti nahin door mujhse kahin aur ye sach hai

Mere dimaagh ke andheron mein roshan aap kal aur aaj hain

Wo haathon ko pakardkar sadkon ko paar karna

Bade se bade khatron se na bilkul darna

Yaqeen isko kehte hain ye khoob samjhna

Aabaad rehta hai dil ka chaman ab kayi saalon se

Khushi ka to thhikana na hai, kyunki patjhard nahin hoti yahan kabhi bhi

Ishq hai aapse aaj bhi usi tarah

Ke le jaein aapko hum sabse door kahin

Na hon wahan log jinhe samjhana parde usool mohabbat ke

Zindagi tumse door rehkar jeena nahin hai

Lekin shartein kuch is duniya ki ajab si hain

Jinhe sunana chahte hain hum apni daastaan

Wo masroof hai duniyadaari mein

Fikr tumhari sirf izzat ki hai

Jo sunayein apni ishq ki kahani

Na sun lein wo kaan jo qabil na hai usko sunne ke

Kahan jaoon jahan sukoon milega

Jahan apni yaadon ko kinara milega

Zindagi aagey bahot lambi hai, sanam

Akele zahir mein jiyoon, magar, kitne janam?

Baitthengey samaitkar saari yaadien us jagah

Jashn hamari yaadon ka dhoom se manega

Takkaluff na bartein, na paigham kisi ko dena

Jashn hamari yaadon mein shaamil hona

Sitaron ka aana jaana laga hoga

Kuch hawaon ka saaz aur gaana bhi hoga

Chaand apni roshni se sada bahar hoga

Un paidon ki daalein baatien karengi

Un phoolon ki khooshbu se sama bandhega

Wo jugnuon ki aamad se shab roshan hogi

Saath baithhkar zikr hamari yaadein karengi

Hum dono ek baar phir saath hongey

Bekhabar is baat se, ki is jashn mein kuch aur yaadein giraftaar hongi

--

--

Silence Speaks💕
Silence Speaks💕

Written by Silence Speaks💕

Not chasing popularity, but delving into the depths of the human mind. | Stained Glass & Mosaics | Ms. Introvert | Writer | A dainty entrepreneur |

No responses yet